Is course me kya sikhaya jayega?
Aapko bilkul shuru se le kar advanced level tak training di jayegi jisse aap 60 days me achhi English bol payenge. Aapko grammar ke rules me confuse kiye bina, bohot aasani se English me har baat bolni aa jayegi.
Aapko bilkul shuru se le kar advanced level tak training di jayegi jisse aap 60 days me achhi English bol payenge. Aapko grammar ke rules me confuse kiye bina, bohot aasani se English me har baat bolni aa jayegi.
Bilkul basic se le kar advanced level tak sab kuch
English words bolne ka sahi tarika
Sentences banana seekhe, bina grammar rules me uljhe
Do, Does, Has, Have, Had, jaise topics aasani se seekhe
Apni introduction kaise deni chahiye
English me question aur answer kaise kare
Request karna, ya order, invitation, salaah dena seekhe
Kisi se kaam karvane wali baat kaise bole
Could, Would, Should jaise words ka use
English bolte hue common mistakes kaise theek kare
English bolne ka confidence kaise laye
Agar (if) wale Conditional sentences kaise banaye aur bole
Advanced topics jaise ki Active-Passive Voice, Narration, Causative Verbs, bina grammar me uljhe seekhe aur apne daily routine me istemal kare
Sabhi English concepts ko achche tarike se Hindi or Gujrati me samjhaya jata hai, hamare tarike se aap kisi bhi age pe English seekh sakte hai
Job dhoond rahe logo ke liye, jo better job opportunity ke liye English improve karna chahte hai
Government aur private companies ke employees ke liye, jo promotion and career growth paana chahte hai
Professionals aur businessmen ke liye, jo apne kaam me zaada successful hona chahte hai
Parents ke liye, jo apne bacho se English me baat karna chahte hai
Teachers ke liye, jo apne students ko better tarike se padhaana chahte hai
Jo English likhna padhna jaanta ho, par fluently bol na pata ho, kya usko is course ka fayda hoga?
Yes. Jo English jaante hai par bol nahi paate, unki problem hai practice ki kami. Bol bol kar hi English bolne me fluency aayegi, isliye maine har lesson me aise task diye hai jinse aapki bolne ki practice hogi. Is course me practice group hai jisme students ek doosre se English me text aur audio messages se practice karte hai. Us group me mai aur meri team bhi hai taki aapki pronunciation aur grammatical mistakes correct kar sake.